Upar wala kaise kaise panne hai khol raha,
Aaj phir sab saath hai yakeen nahin ho raha;
Jinko the zindagi mein pichhe chhod aaye,
Aaj Wo Din Phir Yaad Aaye.
Jab aaye the school mein gaaliyan nahin jaante the,
Na dosti ki khabar, na bhala bura pehchante the;
In kamino ke saath rehkar saare matlab samaj aaye,
Aaj Wo Din Phir Yaad Aaye.
Wo shaam ki cricket, wo school ki mastiyan,
Ye teri, wo meri karke baa'nt-te the ladkiyan;
Par tab unme se ek ko bhi na pata paaye,
Aaj Wo Din Phir Yaad Aaye.
Sabse zyada maza to tab aaya,
Jab tum saalo ne mujhe Batman banaya;
Agli subaah Dalwadi ke joote bhi khaaye,
Aaj Wo Din Phir Yaad Aaye.
Aaj jis mod par hai wahan koi kami nahi aati hai,
Lekin behen ke tako, tumhari yaad bahot aati hai;
Ab mile hai to chalo kuchh waqt saath bitayein,
Wo din, chalo phirse jee jaayein.